Songs sung by Shaan for Prathama) Fast songs1. chein se jeene nahi dunga sataaungasari umar ungli pe nachaaungajeewan ka naya roop dikhaaungahar pal ek tufaan utthaaungatera ghamand pal mein mitaa dunkadamon tale main tujhko giraa duntu cheez kya hai tujhko bataa dunhey! hey! hey! hey!2. teri meri dosti sabko pyaari haisabse alag hai yeh sabse niraali haimain jo hun suraj tu meri roshni haitujhko samajhne mein der lagi haijanamon ka saath chhutega kaisebandhan bhala yeh tutega kaiserishta bhala yeh rutthega kaise3. yeh tere waar ka chhota sa jawab haimaine chukayaa tumhara har hisaab haikhud ko samajh na samajh samajhne detum ho hamesha hi mere nishaane pehontthon ki laali angoor ban gayidushmani ki deewaar ban gayisabki nazaron se aag gir gayi4. wadaa kiya tha jo maine nibhaayaa haisar tera kadamon mein laake jhukaaya haijeet ka maine aise jashan manaayaa haiaaeenaa haal ka tujhko dikhaayaa haiare ab kahaan woh baatien badi-badibujh gayi akadti woh phuljhadijao-jao kyun ho yahaan khadi5. jo mujhse naa kehta hai toot jaataa haius din se uska naseeba rootth jaata haimere sitam se woh bach nahi paataa haiwoh aaeene ki tarah phut jaataa haimere aage jhukte har ek sardarta hai mere khauff se nagartujh pe lagi hai ab meri nazar6. tu hai agar bees to main ikkis hunsabse alag hun main dil ka raees huntumko main sabki nigaahon se giraaungabadnam tujhko main aisa kar jaaungatthukaraaenge tujhe tere apne tutenge teri aankhon ke sapneyeh kasam abhi utthai hai humne7. rishton ke bandhan yeh kya nibhaaenge dono hain dushman yeh ghar kya basaaengeaise hi yeh apni khushiyaan mitaaengeyeh apni uljhan aur baddhaaengekoi kisi ka humdum nahi haiinko kisi ka ab gam nahi haiek-dusre se koi kam nahi hai8. parwaanaa mujhko tu shammaa samajhti haipar mere samne teri naa koi hasti haimeri hukoomat chale yeh woh basti haijeewan hai mehanaga aur maut yahaan sasti hainakhre tere main pal mein bhula dunaukat teri main tujhko bataa duntujhe chutkiyon mein aise urra dun9. sare jahaan ko yeh humne bataaya haihirney ke aage abhi sher aayaa haipatthar se dekho sheesha takaraayaa haianjaam uski samajh mein ab aayaa haitu phool aur bhanwaraa jawaan hun maintu nabhar hai aur fiza hun mainhar kadam kharra intehaan hun main10. raat aur din kya kabhi mil paate haindharti aur ambar kya haath milaate hainpurab aur pashchim kabhi saath mein aate hainhontthon pe aansu kabhi muskuraate hainyeh do alag-alag hain dishaayen milnaa bhi chaahen to mil naa paayenkaise hon ek bhalaa inki raahein11. tumne abhi humein samjha na jaana haimujhko abhi tak nahi pehchaana haiab har jagah pe tu mera nishaanaa haibarbaad kar dungaa tujhko bataanaa ahitujhe har kadam pe rusvaa karungaajaaye jahaan tu peechha karungaasochaa nahi jo aisa karungaab) Slow songs1. dil ne mujhe ehsaas dilaayaa haibedardi se main tujhko sataayaa hainafrat ki aag mein tujhko jalaayaa haihaathon se apna naseeb mitaayaa haimere sitam mujhe hi staayedaste hain mujhko mere hi saayeaakaash tu yeh sab bhool jaaye2. tum bhi ab apne dil ko saaf karo naagalti hamaari ab maaf karo naatum se yeh meri zindgaani hai yeh baat humne abhi-abhi jaani hai3. rutthe hue pal ko kaise manaayenge rote hue kaise hum muskuraayenge mere sitam jab tumhe yaad aayengedil ke tere tukrre kar jaayengenafrat ki aag dil mein lagaa kemujhe kya mila hai tujhko jalla ke yeh sochta hun sab kuchh lutaa ke4. teri wafaaon ko aaj maine jaana haiteri muhabbat ko maine pehchaanaa haimeri khata thi jo tumko rulaayaa haimera bhi dil ab bahut pachhtaayaa hairasamon ko yun nibhaate rahen hainkhud se phareb khaate rahen hainkhushiyon ko yun jalaate rahe hain5. bin tere har lamha udaas ho gayaa haimera dil tere dil ke paas ho gayaa haijo ho rahaa tha woh deewangi thiiska mujhe ehsaas ho gayaa haipalkon mein ab teri si nami haiyaadon ki pehali yeh chaandni haitu jo nahi to kuchh bhi nahi hai6. saanson mein ab teri yaadon ka pehraa haihar aaeene mein ab tumhaaraa hi chehara haitere khayaalon mein kaate hain pal-chinjeena nahi hai mujhe ab tere binapna tumhe hi ab maanaa mainetumhe chah kar hi jaanaa maineis zindagi ko pehchaana maine7. Jo ho rahaa hai woh kaise bhoolaaungaabite hue lak ko kaise bhoolaaungaayeh dard tanhaa ab kaise sahungaasapnon ke toote ghar mein kaise rahungaakismat ne khel khela hai kaiseek par kate parinde ke jaisakisi ke saath kabhi ho na aisa8. Jaane woh pyaaraa din kab aayegaajab meri baahon mein tu khilaayegaabachpan mera tujh mein laut aayegaagaayegaa jeewan tu jab muskuraayegaaungali pakarke chalnaa sikhaaunkaandhe pe apne tujhko bitthaauntujhe sar utthaake jeena sikhaaun9. woh haadsa ho gaya jo na hona thapaane se pehale tujhe aise na khona thatu meri aankhon ka sapna salona thameri umeedon ka pyaara khilona tha10. rishte banaate hain rishte mitaate hainsaavan mein kaagaz ke kharge banaate hainapne liye hi tufaan utthate hainpaani mein kaise ye aag lagaate hainapna gharonda khud hi mitaayeapne hi haathon khud ko jalaayekhud apne aap ko aazmaaye11. woh jiski raahon mein deepak jalaayen hainhumne usise fareb bhi khaayen hainjeevan mein kuchh aise lamhe bhi aayen hainsamjha tha apna jise woh paraayen hainuski jagah pe koi kaise aayeusne kiye hain jo zulm haayeunhe sahake koi kaise bhool jaayeSongs sung by Jaspinder Nerulla for Gauria) Fast songs1. tu hai unnis har baat mein main bees hunkehte hain college mein aisi one piece hunulajh naa mijhse bahut pachhtaayegaa sabke aage mazaak ban ke reh jaayegaasheesha hun jisse patthar bhi toote sach bolte hain mere aage jhootthetu cheez kya hai ja-ja re jhootthe2. tu mera husband hai main teri wife hunmaane naa maane par main teri life hunchalnaa hai ek raah mein larrte-larrtetu mujhse bachke kahaan tak jaayegaachal teri zindagi main sambhaalunpaayal ki beri paaon mein baandhunpehale tujhe main apna bannaa lun3. aaj tumhaaraa nahi vakt yeh mera haimaine tumhe har taraf se yun gheraa hai chaaron taraf ghanghor andheraa haiaur meri mutthi mein kal ka saweraa haichaahungi jo wahi tum karoge meri nigah se bhi daroge jaise kahungi vaise chaloge4. bol barre na bol varna pachhtaayega urrne waalaa panchhi zameen pe aajaayengadaulat ke bal mein chal sar utthaake tthokar lagegi to utth nahi paayegaabar-bar raste mein aao naanaa mujhko jhootthe tewar dikhaao naahaar mujhse ab maan jaao naa5. raahon ki yeh roshni khud utthaayengepal dushmani ke inhe rootth jaayengehai aag dil mein yeh ghar kya basaayenge hai pyaar kya cheez yeh kyaa bataayengejhonke hawaa ke bas mein naa aayenhain do kinaare kabhi mil naa paayendono ki apni-apni dishaayen6. hasti kya teri jo mujhko tarpaayegaaraahon mein tu kya mere kaante bichhaayegaapni soch kya mujhko daraataa haitaiyaar hun jo hoga dekha jaayegaahar war tera bekaar jaayejab chaahe tu mujhe aazmaayejeete kabhi naa tu haar jaaye7. mujhse takaraayegaa toot jaayegaaroyegaa khud mujhko kya rulaayegaakya hoga kal aane waalaa bataayegaatu kya hai jo meri hasti mitaayegaajao-jao aankhen dikhaao naahar kadam mujhe aazmaao naahaar mujhse ab maan jao naahey! hey! hey! hey!8. main woh shamaa nahi jo bujh jaungi khud bhi jaloongi tujhe bhi jalaaungitere iraade choor-choor kar jaaungi har morr pe tujhko neecha dikhaaungiab main tumhaari humdum nahi hoontumse kahin bhi main kam nahi hunek aag hun main shabnam nahi hunb) Slow songs1. rutthe hue dil ko maine manaayaa haimujhko lagaa thaa ki tu laut aayaa haijab dil ke tukrre jurre to yeh jaanaatune bhi mera mazaak banaayaa haichahare pe ek chahara lagaa kaachupke se mere nazdeek aake dhokhaa diyaa hai apna banaake2. sukh mein paraaye bhi paas aa jaate haindukh mein sirf apne saath nibhaate hainaansu ke bandhan mein hum bandh jaate hainmera KUTUMB meri jaan hai bataate hain3. yeh kya hua hai yeh kiski khataa haikis jurm ki mil rahi yeh sazza haiaankhon ki meri nami keh rahi haibin tere yeh zindagi kuchh nahi haitujhe kuchh nahi ho yeh main duaa dunteri dhadkano mein saanse bichha duntere vaaste main rab ko sazaa dun4. jo ho raha hai naseebon ki baatien haindin hain kisi ke mukaddar mein raatien hainpal hi hasaatien hain pal hi rulaatien hainhum aone dil ko yahi samjhaate hainjo kho gayaa hai use dhoondhanaa nahiwoh milegaa tujhko kabhi nahiaaj jo hai uspe karo yakeen5. sochaa tha murjhaaye phool khil jaayenge apne bhi pyaar bhare din laut aayengelekin hua kya kise hum bataayengehans-hans ke sabse yeh aansun chhupaayengebandhan janam ka toota hai pal meinjaana hai maine yeh aaj kal mein ab tak thi main ret ke mahal mein6. kya tha tumhaaraa kya kho gayaa jo rotaa haihota hai jo achhe ke liye hota haiin aansuon se yeh daaman bhigota haihaathon ki rekha jo hola wahi hita haikal jo yahaan tha ab woh kahin haiis baat kaa to sabko yaheen haiinsaan ke bas mein kuchh bhi nahi hai7. honi-anhoni ko kaun rok paayaa haikhilne se pehle hi phool murjhaayaa haijisne banaayaa usi ne mitaayaa haijo bhi hua hai woh ram ji ki maya hairoosi hui yeh kismat khadi haipalakon pe aansuon ki ladi haichup ho jaa yeh imtehaan ki khadi hai8. kudrat ka dekho yeh kaisa karishma haikahin pe khushiyan kahin pe sadma haimilne bichhudne ka kaisa samaa haijeevan ka shayad yahi to nagma haiyeh sach hai maan le sochta hai kyayeh nasib ka hai likha huamilke bhi tujhe woh nahi milaa9. jo bhi hua usme dosh tumhaaraa haijeevan ki jeeti yeh baazi tu haaraa haimeri tammannaaon ko tune maaraa haipalakon pe aansu labhon ka utaaraa haikiski khata kiski sazaa haiinzaam kiska kisko lagaa haisansaar ko na kaahi mitaa hai10. yeh faasle humne khud hi banaaye hainapne basere ke tinke urraayen hainaaenaa ko hanske chaharaa dikhaaye haiaansu piye hain magar muskuraaye hainhum saaye se alag saayaa ho gayahona jo nahi tha woh ho gayanafaraton mein rishta woh kho gaya11. heera hai moti hai chaandi hai sona hai duniyaa to rab ke liye ek khilonaa hai ek pal mein paanaa hai ek pal mein khonaa haiphir kis liye kis baat ka rona hairishtaa wahi jo dukh mein nibhaaye sahaaraa wahi jo tere saath aayekhushiyan wahi jo labh ko hansaayeSongs sung by both (Shaan and Jaspinder Nerula) for Pratham and GauriNOTE: Lines in block letters are sung by Pratham and the others by Gauri.1. CHAHAT KI TUJHKO MAIN PEHCHAAN DUNGAALE LUNGA AANSUN AUR MUSKAAN DUNGAAhans ke kahegaa har baat maan lungi dil kya hai kadamon mein yeh jaan dungiyeh pyaar kaa woh pyaaraa safar haiKABHI ISKA DAR HAI KABHI USKA DAR HAItum saath jab ho phir kiska dar hai2. CHHORRO BHI GUSSAA ZARA MUSKURAAO NAAJO HO GAYAA HAI USE BHOOL JAAO NAAjao ji jao yeh baatien banaao naatum to barre woh ho hum ko jalaao naaMERI GALATIYON KO MAAF KIJIYEpehle apna dil saaf lijiyeACHHA BAABAA AB HANS BHI DIJIYE3. TERI NIGAAHON NE KYA KAR DIYA HAIDIL MERA BECHEIN REHANE LAGA HAIbetabiyon ka ajab silsila haikaise bataaun yeh kya ho raha haiEK DARD MITTHA-MITTHA UTTHA HAIjadoo naya sa koi chala haiKOI BATAAYE YEH KYA BALAA HAI4. TUJHKO NAZAR NAA LAGE KAHIN RAAHON MEINAAJAA CHHUPAA LUN TUJHE APNI BAAHON MEINchaand bhari shokh in mulakaton meinaaun na main teri mitthi-mitthi baaton meinNAKHARE KARO NAA MERI JANEJANAAmera dil bana hai tera nishanaaMAINE TUMHE TO APNAA HAI MAANAA5. bheege hue pyaar ke muskurate paldheere se dil mein machaane lage hal-chalYEH CHAANDANI RAAT AUR SAAMNE HO TUM CHAHARE SE KAISE NIGAAHIEN HATAAYEN HUMek bekhudi si chhane lagi haiMADHOSHIYAAN BULAANE LAGI HAIN tanhaaiyaan bhi gaane lagi hain6. palkon ne milkar yeh sapne bune hainek duje ke vaaste hum bane hainAAYI HAI CHAAHAT RANGEEN SHAAM LEKARDHARRKE MERA DIL TERA NAAM LEKARab do dilon mein ikraar ho gayaaJEENA MERA DUSHWAAR HO GAYAAmujhko tumse ab pyaar ho gayaa7. tere mere raaste mil na paayengeab hum kadam naa milke chal paayengeHUM TUTE SHEESHE KABHI NA MIL PAAYENGEAB APNI DUNIYAA ALAG HUM BASAAYENGENA TUM HUMAARE NA HUM TUMHAAREhum hain nadi ke do behte dhaareHUM IS KINAARE TUM US KINAARE8. agni ke fere jo bandhan banaate hainrishte woh kaagaz se kya toot jaate hainDIL PE LIKHE NAAM KYA MIT JAATE HAINEK DUJE KO KYA KABHI BHOOL PAATE BHAINrishte the kaanch ke jaise tooteEK DUSRE KA SUKH-CHEIN LOOTEkhud apne aap se yeh hain rootthe 9. jodi gagan mein dikhaavaa banaataa haipatni-pati ka to janamon kaa nataa haiKOI KISI PE KURBAAN HO JAATAA HAIINKI SAMAJH MEIN TO KUCHH ANHI AATAA HAIkahin pyaar ka hai saavan barastaa KAHIN NAFARATON KA SHOLA BHADAKTAkaisa ajeeb sa hai yeh rishtaa
Main Zulm Ko Mitaa Doongi bengali hd movie download
2ff7e9595c
Comentarios